Maalik se majboor
murgha
![]() |
Maalik se majboor
murgha
Murghy ne socha k
zarorat k waqt tou gandhy ko bhi baap bnana parta hai es leay jan bachany k
leay azan dena band karna pare tou koi bari baat nahi, or mere ilawa bhi tou or
murhy hain jo azan dy rahe hain mere aik k azan dene se kya farak pary ga. Murgy
ne azan dena band kar di. Hafty bhar k bad murghy k malik ny aik bar phir
murghy ko pakar kar kaha k aj k bad tum ne dosri murghion ki tarhan kutkutana
hai, nahi tou main ne tere paar kaat lene hain or tujhe mar dena hai.
Murghy ne apni jan
bachaty huaye murghion ki tarhan kutkutana shuro kar dia, mahene k bad murghy k
maalik ne murghy ko pakar kar kaha agar tum ne kal se dosri murghion ki tarhan
anda na dia tou main ne tujhe zabah kar dena hai, murgha ye sun kar rony laga
kash azan deta deta mar jata tou ye mutalba tou na sunna parta.
Islam ko chor kar aj
humari halat bhi es murghy jesi ho gai hai, aj es murghy ki tarhan hum se andy
dene ky mutalby kiaye ja rahy hain, islam se dastbardar hony ki chalen chalai
ja rahi hain kash hum islam ki azan dety dety qurban ho jaty magar es batil nizam
ko galy na lagaty. Hum se tou wo murgha acha tha jise ye ahsas tou hua, humen
tou abhi tak ye ahsas he nahi hai k es rasty sy islam na kabhi aya hai or na he
kabhi aye ga.
0 Comments
please do not enter any spam link in the comment box