Khorak mein se
mitha nikalne k faidy
Cheeni ko apni
zindgi se bahir nikalna koi asan kam nahi q k har aik ko mitha khane ki khwaish
hoti hai. mithas ki humare jisam ko zarorat bhi hoti hai, es maqsad k leay
qudarti metha kafi hota hai jo humen faruits se hasil ho jata hai.
Agar phir bhi
himat kar k apni zindgi se cheeni ko nikal dety hain tou es k ap ko bahot se
fawaid hasil hoty hain shahid jin k bare mein ap ko maloon nahi ho ga.aj main
ap ko btaun ga mitha chorne se ap ki zindgi ko kon se fawaid hasil hon gy.
Umar se kam
nazar ana
Agar ap mitha
khaty hain tou es se ap k chehre par jhurion mein izafa ho sakta hai q k
jhorion ka khatra barhata hai medical experts k mutabiq cheeni k istamal se
sugar malicule ikathy hoty hain or collagen or alession ki stah par kam karty
hain. Ye dono aise ropten hain jo skin ko jawan rakhne mein madad dety hain or
un ka tahfooz jis umar tak mumkin ho zarori hota hai. cheeni ki zyada ya kam
miqdar doran khoon mein glocose or insoline ki kami beshi par asar andaz karti
hai.Cheeni sy doori k natejy mein es warm ka khatra kam hota hai jo burhapy ki
janib le jati hai.
Khushgawar ahsas
Mizaj par
khushgawar asrat cheeni ka istamal depration ka khatra barhata hai, es ki wajaha
ye cheeni se jisam k andar warm ka imkan barhata hai jo dimaghi afal par
negitive asrat maratab karta hai.jub koi cheeni ko apni zindgi se door karta
hai tou 2 hafty mei mizaj par khushgawar asrat muratab hoty hain.
Wazan mein kami
Aik resarch k
mutabiq cheeni ka istamal aik adat ki tarhan hai os mein kami lana mumkin hai.
agar hum cheeni chor dean tou hum kam calories istamal karty hain jsi se humara
wazan kam hota hai.aik resarch k mutabiq jub hum cheeni istamal karty hain tou
humara dimagh pait bharne ka signal dy
nahi pata jis ki wajah se hum zyada khana kha lety hain jo mutapy ki wajah
banta hai.
Bimarion mein kami
Cheeni waram ka
bais banti hai jis se jismani dafai nazam ki mosmi bimarion se larne ki
salahiat kamzor ho jati hai, jub cheeni ka istamal chor dia jata hai tou mosmi
bimarian jaise nazla, zukam ya bukhar waghaira ka khatra bhi kam hota hai jub k
ilarjy or dama se bhi tahafooz milta hai.
Dibaties se
tahafuz
Har koi janta
hai zyada mitha khane se dibaties ka khatra barh jata hai es se dori bnana
jismani afal ko apna kaam karne mein madad deta hai, cheeni chorne se chand
ghanton bad lablaba insoleen tyar karne lagta hai, jigar jisam mein zehrily
mawad ko saf karne lagta hai.agar koi banda
jis ko insolin ki mzahmat ho to aise amal mein kuch zyada time lag sakta hai 5
hafton mein dibaties ki starting alamat se nijat mumkin ho jati hai.
Lambi zindgi
Mithi cheezen
khane k bad glucose ka level barhta hai jis ki wajah se insolin ka level barhta
hai ta k ose control kar saky, asa hony par asabi nizam ka wo hisa active ho
jata hai jo blood presure or dil ki dharkan barhata hai.high blood presure
amraz e qalb ki bnyadi wajah hai jab k dibaties or motapy ka khatra bhi barhata
hai. esi tarhan cheeni jisam mein nuqsan dy charbi k kholiat ko bhi barhati hai
jis se amraz e qalb or falaj ka khatra bhi barhta hai
0 Comments
please do not enter any spam link in the comment box